Kasoor Na Unka Tha Na Mera,
Hum Dono Hi Rishton Ki Rasmein Nibhaate Rahe,
Wo Dosti Ka Ehsaas Jataate Rahe,
Aur Hum Mohabbat Ko Dil Me Chhupaate Rahe.
कसूर न उनका था न हमारा,
हम दोनों ही रिश्तों की रस्म निभाते रहे,
वो दोस्ती का एहसास जताते रहे,
और हम मोहब्बत को दिल में छुपाते रहे।
Shayar Kehkar Badnaam Na Karna Mujhe Dosto,
Main Roj Shaam Ko Din Bhar Ka Hisaab Likhta Hoon.
शायर कहकर बदनाम न करना मुझे दोस्तो,
मैं रोज शाम को दिन भर का हिसाब लिखता हूँ।
Galat-Fehmiyon Ke Silsile Itne DilChasp Hain,
Har Eent Sochti Hai Ki Deewar Bas Mujhse Zinda Hai.
गलत फहमियों के सिलसिले इतने दिलचस्प हैं,
हर ईंट सोचती है कि दीवार बस मुझसे जिन्दा है।
Khuda Bhi Ab Kis-Kis Ki, Fariyaad Sune,
Kisi Ka Kal Khoya Hai To, Kisi Ka Aaj Nahin Hai.
खुदा भी अब किस-किस की, फरियाद सुने,
किसी का कल खोया है तो, किसी का आज नहीं है।
Jo Chalti Rahe Pal Pal, Usey Zindagi Kehte Hain,
Jo Jalti Rahe Har Pal, Usey Roshani Kehte Hain,
Jo Khilti Rahe Pal Pal, Usey Mohabbat Kehte Hain,
Jo Saath Na Chhode Kabhi, Usey Dosti Kehte Hain.
जो चलती रहे पल पल, उसे जिंदगी कहते हैं,
जो जलती रहे हरपल, उसे रोशनी कहते हैं,
जो खिलती रहे पलपल, उसे मोहब्बत कहते हैं,
जो साथ न छोड़े कभी, उसे दोस्ती कहते हैं।
Khayaal Aandhi Hai Uska Ki Dil Kaanp Jaata Hai,
Mere Udaas Khayaalon Kiwaad Mat Kholo.
खयाल आँधी है उसका कि दिल काँप जाता है,
मेरे उदास खयालों किवाड़ मत खोलो।
Main Ise Shohrat Kahoon Ya Apni Ruswaai Kahoon,
Mujhse Pehle Uss Gali Mein Mere Afsaane Gaye.
मैं इसे शोहरत कहूँ या अपनी रुसवाई कहूँ,
मुझसे पहले उस गली में मेरे अफ़साने गए।
Ye Bhi Achha Hua Ki Use Paa Na Sake Hum,
Wo Humare Ho Ke Bichhadte To Qayamat Hoti.
ये भी अच्छा हुआ कि उसे पा न सके हम,
वो हमारे हो के बिछड़ते तो कयामत होती।
Iss Khayaal Se Hi Har Shaam Jald Neend Aayi,
Mujh Se Bichhade Huye Log Sheher-e-Khwaab Mein Hain.
इस ख्याल से ही हर शाम जल्द नींद आई,
मुझसे बिछड़े हुए लोग शहर-ए-ख्वाब में हैं।
Woh Mujh Par Ajeeb Asar Rakhta Hai,
Mere Dil Ki Tamaam Khabar Rakhta Hai,
Shayed Main Use Bhool Hi Jata Magar,
Yaad Aane Ke Wo Saare Hunar Rakhta Hai.
वह मुझ पर अजीब असर रखता है,
मेरे दिल की तमाम खबर रखता है,
शायद मैं उसे भूल ही जाता मगर,
याद आने के वो सारे हुनर रखता है।