Aadat Tere Intezar Ki
Marne Ke Baad Bhi Meri Aankhein Khuli Rahin,
Aadat Jo Pad Gayi Thi Tere Intezar Ki.
मरने के बाद भी मेरी आँखें खुली रहीं,
आदत जो पड़ गयी थी तेरे इंतज़ार की।
Main Intezar Ka Qaayal Na Tha Magar Tum Ne,
Laga Diya Mujhe Deewaar Se Ghadi Ki Tarah.
मैं इंतज़ार का कायल न था मगर तुम ने,
लगा दिया मुझे दीवार से घड़ी की तरह।
Taras Gayin Hain Tumhein Dekhne Ko Ye Aankhein,
Thaki-Thaki Hain Par Palkein Uthhaye Baithhe Hain.
तरस गईं हैं तुम्हें देखने को ये आँखें,
थकी-थकी हैं पर पलकें उठाये बैठे हैं।
Khabar Nahi Mujhe Yeh Zindagi Kahan Le Jaye,
Kahin Thhehar Ke Mera Intezaar Mat Karna.
खबर नहीं मुझे यह जिन्दगी कहाँ ले जाए,
कहीं ठहर के मेरा इंतज़ार मत करना।
Jaane Kis Raah Se Aa Jaaye Wo Jaane Wala,
Hum Ne Har Simt Se Deewar Gira Di Ghar Ki.
जाने किस राह से आ जाए वो जाने वाला,
हम ने हर सिम्त से दीवार गिरा दी घर की।