Kya Jarurat Thi Tumhein

Kya Jarurat Thi Door Tumhein Jaane Ki,
Chaahte To Paas Rehkar Bhi To Sata Sakte The.
क्या जरूरत थी दूर तुम्हें जाने की,
चाहते तो पास रहकर भी तो सता सकते थे।

Shayari Kya Jarurat Thi Tumhein

Ye Dil Hi To Jaanta Hai Meri Mohabbat Ka Aalam,
Ki Mujhe Jeene Ke Liye Saanso Ki Nahin Teri Jarurat Hain.
ये दिल ही तो जानता है मेरी मोहब्बत का आलम,
कि मुझे जीने के लिए सांसो की नहीं तेरी जरूरत हैं।

Tujhe Har Baat Pe Meri Jarurat Padti,
Kaash Main Bhi Koi Jhoothh Hota.
तुझे हर बात पे मेरी जरूरत पड़ती,
काश मैं भी कोई झूठ होता।

Ghar Mein Akhbaar Bhi Ab Kisi Bujurg Sa Lagta Hai,
Jarurat Kisi Ko Nahin, Jaroori Phir Bhi Hai.
घर में अखबार भी अब किसी बुजुर्ग सा लगता है,
जरूरत किसी को नहीं, जरूरी फिर भी है।

Ek Jarurat Chhupi Hoti Hai,
Jab Koi Kehta Hai Mujhe Akela Chhod Do.
एक जरूरत छुपी होती है,
जब कोई कहता है मुझे अकेला छोड़ दो।

Suno To Arz Karein Maan Lo To Kya Kehna,
Tumhaare Paas Hum Aaye The Ek Jarurat Se.
सुनो तो अर्ज करें मान लो तो क्या कहना,
तुम्हारे पास हम आये थे इक जरूरत से।

Related Shayari

Shayari Categories