Kabhi Tadap Hai To Kabhi Tanhai,
Kabhi Bebasi To Kabhi Intezaar,
Ye Rog Bhi Kya Khoob Hai.. Ae Khuda,
Duniyaan Jise Kehti Hai.. Pyaar.
कभी तड़प है तो कभी तन्हाई,
कभी बेबसी तो कभी इंतज़ार,
ये रोग भी क्या खूब है.. ऐ खुदा,
दुनियां जिसे कहती है.. प्यार।
Sab Tamannayein Ho Puri Koi Khwahish Bhi Rahe,
Chahta Wo Hai, Mohabbat Mein Numaaish Bhi Rahe.
सब तमन्नाएं हो पूरी कोई ख्वाहिश भी रहे,
चाहता वो है, मोहब्बत में नुमाइश भी रहे।
Aasmaan Choome Mere Pankh Teri Rehmat Se,
Aur Kisi Ped Ki Daali Pe Rihayish Bhi Rahe.
आसमान चूमे मेरे पंख तेरी रहमत से,
और किसी पेड़ की डाली पे रिहाईश भी रहे।
Meri Aankhon Ko Surkh Dekh Kar Kehte Hain Log,
Lagta Hai Tera Pyar Tujhe Aazmata Bahut Hai.
मेरी आँखों को सुर्ख़ देख कर कहते हैं लोग,
लगता है तेरा प्यार तुझे आज़माता बहुत है।
Sajde Mein Gujaar Doon Apni Saari Zindagi,
Ek Baar Wo Kahe Ki Mujhe Duaaon Mein Maang Lo.
सजदे में गुजार दूं अपनी सारी ज़िन्दगी,
एक बार वो कहे कि मुझे दुआओं में माँग लो।
Tum Jo Chaahat Ke Samandar Mein Utar Jaaoge,
Khushnuma Se Kisi Manzar Pe Thhehar Jaaoge,
Humne Yaadon Mein Tumhein Is Tarah Piro Rakha Hai,
Hum Jo Toote To Sanam Tum Bhi Bikhar Jaaoge.
तुम जो चाहत के समन्दर में उतर जाओगे,
खुशनुमा से किसी मंज़र पे ठहर जाओगे,
हमने यादों में तुम्हें इस तरह पिरो रखा है,
हम जो टूटे तो सनम तुम भी बिखर जाओगे।
Har Baar Najar Ke Saamne Aate Rahe Ho Tum,
Har Baar Tumse Mil Ke Bichhadta Raha Hoon Main,
Tum Kaun Ho Ye Khud Bhi Nahi Jaante Ho Tum,
Main Kya Ho Gaya Hoon Khud Nahi Jaanta Hoon Main.
हर बार नजर के सामने आते रहे हो तुम,
हर बार तुमसे मिल के बिछड़ता रहा हूँ मैं,
तुम कौन हो ये खुद भी नहीं जानते हो तुम,
मैं क्या हो गया हूँ खुद नहीं जानता हूँ मैं।