Maa Kehti Nahin

Maa Kehti Nahin Fir Bhi Sab Kuchh Jaanti Hai,
Bina Kahe Wo Khamoshi Ki Jubaan Samjhti Hai.
माँ कहती नहीं फिर भी सब कुछ जानती है,
बिना कहे वो ख़ामोशी की जुबां समझती है।

Ae Museebat Jara Soch Samajhkar Aana,
Maa Ki Dua Tujhe Museebat Na Ban Jaye.
ऐ मुसीबत जरा सोच समझकर आना,
माँ की दुआ तुझे मुसीबत ना बन जाए।

Pathareeli Rahon Ka Bhi Safar Aasan Lagta Hai,
Yah Meri Maa Ki Duaon Ka Asar Lagta Hai.
पथरीली राहों का भी सफर आसान लगता है,
यह मेरी मां की दुआओं का असर लगता है।

Is Duniya Mein Sab Kuchh Milta Hai,
Maa Ka Pyaar Khushkismat Ko Naseeb Hota Hai.
इस दुनिया में सब कुछ मिलता है,
माँ का प्यार खुशकिस्मत को नसीब होता है।

Takdeer Se Kah Do Mujhe Sataana Chhod De,
Mere Sir Par Meri Maa Ka Haath Hai.
तकदीर से कह दो मुझे सताना छोड़ दे,
मेरे सिर पर मेरी मां का हाथ है।

Jab Raat Ko Neend Nahin Aati,
Tab Maa Ki God Yaad Aati Hai.
जब रात को नींद नहीं आती,
तब माँ की गोद याद आती है।

Related Shayari

Shayari Categories