Shayari in Hindi

Waqt Gujarte Waqt Nahi Lagta

Waqt Ko Gujarte Waqt Nahi Lagta,
Waqt Milne Par Bhi Waqt Nahi Milta,
Hum To Waqt Nikaal Kar Aapko Yaad Karte Hain,
Aapko To Utna Bhi Waqt Nahi Milta.
वक्त को गुज़रते वक्त नहीं लगता,
वक्त मिलने पर भी वक्त नहीं मिलता,
हम तो वक्त निकाल कर आपको याद करते हैं,
आपको तो उतना भी वक्त नहीं मिलता।

Waqt Gujrega Aur Hum Bikhar Jayenge,
Kaun Jaane Ke Hum Kidhar Jayenge,
Hum Aapki Parchhaai Hain Yaad Rakhna,
Jahan Tanhai Mili Wahan Najar Aayenge.
वक्त गुजरेगा और हम बिखर जाएंगे,
कौन जाने कि हम किधर जाएंगे,
हम आपकी परछाई हैं याद रखना,
जहां तन्हाई मिली वहां नजर आएंगे।

[ Continue Reading → ]

Na Mohabbat Ka Sila Mila

Ajeeb Rishta Hai Kuchh Uss Shakhs Se,
Na Nafrat Ki Wajah Mili Na Mohabbat Ka Sila.
अजीब रिश्ता है कुछ उस शख्स से,
न नफरत की वजह मिली न मोहब्बत का सिला।

Na Jaane Kaun Si Galiyon Mein Chhod Aaya Hoon,
Charaagh Jalte Hue Khwaab Muskurate Hue.
न जाने कौन सी गलियों में छोड़ आया हूँ,
चिराग़ जलते हुए, ख्वाब मुस्कुराते हुए।

[ Continue Reading → ]

Sunehri Subah Jannat Ka Ehsaas

Sunehri Subah Jaise Jannat Ka Ehsaas,
Aankhon Mein Neend Aur Garm Chaai Ki Pyaas,
Uthane Ki Majboori Aur Sone Ki Aas,
Aapka Din Shuru Ho Khushiyon Ke Saath.
Suprabhaat.
सुनहरी सुबह जैसे जन्नत का एहसास,
आँखों में नींद और गर्म चाय की प्यास,
उठने की मज़बूरी और सोने की आस,
आपका दिन शुरु हो खुशियों के साथ।
सुप्रभात।

[ Continue Reading → ]

Ek Khoobsurat Shaam Ho Jaaye

Kabhi To Aasmaan Se Chaand Utre Jaam Ho Jaaye,
Tumhare Naam Ki Ek Khoobsurat Shaam Ho Jaaye,
Humara Dil Savere Ka Sunehara Jaam Ho Jaaye,
Chiraagon Ki Tarah Aankhein Jale Jab Shaam Ho Jaaye.
कभी तो आसमाँ से चाँद उतरे जाम हो जाये,
तुम्हारे नाम की इक खूबसूरत शाम हो जाये,
हमारा दिल सवेरे का सुनहरा जाम हो जाये,
चिरागों की तरह आँखें जलें जब शाम हो जाये।

[ Continue Reading → ]

Maut Ne Bhi Tarsaya

Zindagi Se Toh Khair Shiqwa Tha,
Muddaton Maut Ne Bhi Tarsaya.
ज़िंदगी से तो ख़ैर शिकवा था,
मुद्दतों मौत ने भी तरसाया।

Hindi Maut Shayari Maut Ne Tarsaya

Hum Usi Zindagi Ke Dar Pe Hain,
Maut Hai Jiske Paasbanon Mein.
हम उसी ज़िंदगी के दर पे हैं,
मौत है जिसके पासबानों में।

[ Continue Reading → ]

Shayari Categories