Shayari in Hindi

Gham Mujhse Milane Ko Mila Tha

Woh Ghamon Ko Mujhse Milane Ko Mila Tha,
Mera Yaar Mera Dard Badhanae Ko Mila Tha,
Main Dosh Bhala Kya Usko Du, To Kaise Du,
Woh Zindagi Se Nijaat Dilane Ko Mila Tha.
वो ग़मों को मुझसे मिलने को मिला था,
मेरा यार मेरा दर्द बढ़ाने को मिला था,
मैं दोष भला क्या उसको दूँ, तो कैसे दूँ,
वो ज़िन्दगी से निजात दिलाने को मिला था।

[ Continue Reading → ]

Kisi Bewafa Ki Yaad Mein

Na Raha Kar Udaas Ai Dil
Kisi Bewafa Ki Yaad Mein,
Wo Khush Hai Apni Duniya Mein
Tera Sabkuchh Ujaad Ke.
न रहा कर उदास ऐ दिल
किसी बेवफा की याद में,
वो खुश है अपनी दुनिया में
तेरा सबकुछ उजाड़ के।

Wo Jo Kehta Tha Ki
Tum Na Mile To Mar Jayenge Hum,
Wo To Aaj Bhi Zinda Hai
Kisi Aur Ke Liye.
वो जो कहता था कि
तुम न मिले तो मर जायेंगे हम,
वो तो आज भी ज़िंदा है
किसी और के लिए।

Duniya Ki Bheed Mein Tanha

Duniya Ki Bheed Mein Itne Tanha Ho Gaye Hain Hum,
Ab To Kambakht Parchhaiyaan Bhi Saath Nahin Deti.
दुनिया की भीड़ में इतने तन्हा हो गए हैं हम,
अब तो कमबख्त परछाइयाँ भी साथ नहीं देती।

Bheed Mein Tanha Shayari

Yoon To Har Rang Ka Mausam Mujhse Waakif Hai Magar,
Raat Ki Tanhai Mujhe Kuchh Alag Hi Jaanti Hai.
यूँ तो हर रंग का मौसम मुझसे वाकिफ है मगर,
रात की तन्हाई मुझे कुछ अलग ही जानती है।

Ab To Un Ki Yaad Bhi Aati Nahin,
Kitni Tanha Ho Gayi Hain Tanhaiyaan Bhi.
अब तो उन की याद भी आती नहीं,
कितनी तन्हा हो गयी हैं तन्हाईयाँ भी।

Meri Tanhai Maar Daalegi De De Kar Taane Mujhko,
Ek Baar Aa Jaao Ise Tum Khaamosh Kar Do.
मेरी तन्हाई मार डालेगी दे दे कर तानें मुझको,
एक बार आ जाओ इसे तुम खामोश कर दो।

Mere Marne Pe Sab Khush Honge Ai Sanam,
Bas Tanhai Royegi Mera Humsafar Chala Gaya.
मेरे मरने पे सब खुश होंगे.. ऐ सनम,
बस तन्हाई रोएगी मेरा हमसफर चला गया।

Akele To Pehle Bhi Jee Rahe The Hum,
Kyun Tanha Se Ho Gaye Hain Tere Jaane Ke Baad.
अकेले तो पहले भी जी रहे थे हम,
क्यों तन्हा से हो गए हैं तेरे जाने के बाद।

Door Reh Kar Bhi Baat

Har Mod Par Nayi Shuruwat Ho Sakti Hai,
Door Reh Kar Bhi Baat Ho Sakti Hai,
Maana Ke Aapse Door Hain Bahut Lekin,
Aankhein Band Karke To Mulakat Ho Sakti Hai.
हर मोड़ पर नयी शुरुवात हो सकती है,
दूर रह कर भी बात हो सकती है,
माना कि आपसे दूर हैं बहुत लेकिन,
आँखें बंद करके तो मुलाकात हो सकती है।

Shayari about Distances in Relations

Khushiyaan Ek Kahani Ban Ke Reh Gayi,
Milte-Milte Yeh Dooriyaan Badti Gayi,
Na Jane Kahaan Gayi Woh Khilti Huyi Bahar,
Dil Mein Ek Andhere Ki Chadar Si Cha Gayi.
खुशियाँ एक कहानी बन के रह गयी,
मिलते-मिलते यह दूरियां बढ़ती गयी,
न जाने कहाँ गयी वो खिलती हुई बहार,
दिल में एक अँधेरे की चादर सी छा गयी।

Ujale Hue To Hain

Kuchh Der Se Sahi Lab Pe Ujale Hue To Hain,
Hum Taza Roshni Ke Hawaale Hue To Hain.
कुछ देर से सही लब पे उजाले हुए तो हैं,
हम ताज़ा रौशनी के हवाले हुए तो हैं।

Zinda Rehna Aur Na Marna, Do Batein Hain,
Khwab Bikharna, Raat Gujarna, Do Batein Hain.
ज़िंदा रहना और न मरना, दो बातें हैं,
ख्वाब बिखरना, रात गुजरना, दो बातें हैं।

[ Continue Reading → ]

Shayari Categories