Kyun Khud Ko Beqarar Kiye Ja Rahe Hain,
Kisi Bewafa Ko Pyaar Kiye Ja Rahe Hain,
Aaya Jo Na Sanam Kabhi, Aur Na Ayega Phir Kabhi,
Kyun Uska Intezar Hum Muddat Se Kiye Ja Rahe Hain.
क्यों खुद को बेकरार किये जा रहे हैं,
किसी बेवफा को प्यार किये जा रहे हैं,
आया जो न सनम कभी, और न आएगा फिर कभी,
क्यों उसका इंतज़ार हम मुद्दत से किये जा रहे हैं।
Shor-e-Wehshat Bhi Nahi Tangi-e-Daaman Bhi Nahi,
Mujh Pe Utri Hai Mohabbat, Badi Tehzeeb Ke Sath.
शोर-ए-वहशत भी नहीं तंगी-ए-दामन भी नहीं,
मुझपे उतरी है मोहब्बत, बड़ी तहज़ीब के साथ।
Na Jane Kis Taraha Ka Rishta Hai Mera Uski Zaat Se,
Wo Zara Bhi Khamosh Ho To Saans Thhahar Si Jati Hai.
न जाने किस तरह का रिश्ता है मेरा उसकी ज़ात से,
वो ज़रा भी खामोश हो तो साँस ठहर सी जाती है।
Mausam Bhi Hai, Umr Bhi, Sharab Bhi Hai,
Pahloo Mein Woh Rashk-e-Mahtaab Bhi Hai,
Duniya Mein Ab Aur Chahiye Kya MujhKo,
Saqi Bhi Hai Saaz Bhi Hai Sarab Bhi Hai.
मौसम भी है, उम्र भी, शराब भी है,
पहलू में वो रश्के-माहताब भी है,
दुनिया में अब और चाहिए क्या मुझको,
साक़ी भी है, साज़ भी है, शराब भी है।