Ye Surkh Lab, Ye Rukhsaar, Aur Ye MadHosh Najrein,
Itne Kam Faaslon Par To Maykhane Bhi Nahi Hote.
ये सुर्ख लब, ये रुखसार, और ये मदहोश नज़रें,
इतने कम फासलों पर तो मयखाने भी नहीं होते।
Tu Chehre Ki Badti Salwaton Ki Parwah Na Kar,
Hum Likhenge Shayari Mein Hamesha Jawaan Tujhko.
तू चेहरे की बढ़ती सलवटों की परवाह न कर,
हम लिखेंगे शायरी में हमेशा जवां तुझको।
Yaad Karoge Jab Bhi Apani Tanhaiyon Ko,
Ek Jalta Hua Charaag Nazar Aaunga Main,
Raah Se RehGuzar Ban Ke Bhi Gujar Jayoge,
Ek Meel Ka Patthar Sa Khada Nazar Aauga Main.
याद करोगे जब भी अपनी तन्हाईयों को,
एक जलता हुआ चराग नज़र आऊँगा मैं,
राह से रहगुज़र बन के भी गुजर जाओगे,
एक मील का पत्थर सा खड़ा नज़र आऊंगा मैं।
Jaroori To Nahin Ki Tum Mera Har Kaha Maano,
Tere Naam Kar Di Hai Mohabbat Aage Tum Jaano.
जरूरी तो नहीं कि तुम मेरा हर कहा मानो,
तेरे नाम कर दी है मोहब्बत आगे तुम जानो।
Kahan-Kahan Nahin Khoje Tumne Sachchi Mohabbat Ke Nishaan,
Kabhi To Palat Kar Meri Aankhon Mein Dekha Hota.
कहाँ कहाँ नहीं खोजे तुमने सच्ची मोहब्बत के निशां,
कभी तो पलट कर मेरी आँखों में देखा होता।
Tapakati Hai Nigaahon Se Jhalakati Hai Adaaon Se,
Kaun Kehta Hai Mohabbat Pahachaani Nahin Jaati?
टपकती है निगाहों से झलकती है अदाओं से,
कौन कहता है मोहब्बत पहचानी नहीं जाती?