Shayari in Hindi

Rukh Par Wo Hayaa Ki Surkhi

Un Ke Rukh Par Wo Hayaa Ki Surkhi,
Wo Palaken Jhuka Kar Yoon Muskrana,
Ghabrana Wo Chehare Se Julfein Hatana,
Isee Adaa Ne Banaya Hai Humein Deewana.
उन के रुख पर वो हया की सुर्खी,
वो पलकें झुका कर यूँ मुस्कराना,
घबराना वो चेहरे से जुल्फें हटाना ,
इसी अदा ने बनाया है हमें दीवाना।

Mera Dil Bechain Karti Hai Soorat Tumhari,
Mere Is Dil Mein Samai Hai Moorat Tumhari,
Sagar Si Gehraai Mein Doobkar Kho Jaata Hoon,
Jheel Si Aankhein Bahut Khoobsoorat Hain Tumhari.
मेरा दिल बेचैन करती है सूरत तुम्हारी,
मेरे इस दिल में समाई है मूरत तुम्हारी,
सागर सी गहराई में डूबकर खो जाता हूँ,
झील सी आँखे बहुत खूबसूरत हैं तुम्हारी।

Taraasha Hai Rab Ne Badi Fursat Se Usey,
Kitni Khoobsoorat Hai Ye Aankhen Uski,
Jo Koi Nazar Bhar Dekh Le Ik Baar,
Uski Aankhon Ka Deewana Ho Jaaye.
तराशा है रब ने बड़ी फुर्सत से उसे,
कितनी ख़ूबसूरत है ये आँखें उसकी,
जो कोई नज़र भर देख ले इक बार,
उसकी आँखों का दीवाना हो जाये।

Najrein Jhuka Liya Karte Hain

Mere Dil Ki Dhadkanen Tez Ho Jati Hain
Unhen Dekhkar,
Jab Wo Sharmakar Najrein Jhuka Liya
Karte Hain.
मेरे दिल की धडकनें तेज़ हो जाती हैं
उन्हें देखकर,
जब वो शरमाकर नजरें झुका लिया
करते हैं।

Shayari on Beauty - Jhuki Hui Najarein

Mujhe Kisi Ki Chaahat Nahin Siwa Tere,
Mujhe Kisi Se Mohabbat Nahin Siwa Tere,
Mujhe Jiski Talaash Thi Barson Se,
Kisi Ke Paas Wo Chehra Nahin Siwa Tere.
मुझे किसी की चाहत नहीं सिवा तेरे,
मुझे किसी से मोहब्बत नहीं सिवा तेरे,
मुझे जिसकी तलाश थी बरसों से,
किसी के पास वो चेहरा नहीं सिवा तेरे।

Khwahish Hai Meri Sirf Tumhein Pane Ki,
Aur Koi Chahat Nahin Is Deewane Ki,
Shikwa Mujhe Tumse Nahin Us Rab Se Hai,
Kya Zaroorat Thi Khoobsoorat Banane Ki.
ख्वाहिश है मेरी सिर्फ तुम्हें पाने की,
और कोई चाहत नहीं इस दीवाने की,
शिकवा मुझे तुमसे नहीं उस रब से है,
क्या ज़रूरत थी खूबसूरत बनाने की।

Ye Aankhein Talash Karti Hain

Ye Aankhein Har Pal Unhein Talaash Karti Hain,
Koi To Hai Jiske Deedar Ke Liye Tarasti Hain.
ये आँखे हर पल उन्हें तलाश करती हैं,
कोई तो है जिसके दीदार के लिए तरसती हैं।

Eyes Shayari - Haseen Aankhein

Tumhein Baithakar Puchhenge Tumhari Haseen Aankhon Se,
Kisse Seekha Hai Har Dil Mein Utar Jaana.
तुम्हें बैठाकर पूछेंगे तुम्हारी हसीन आँखों से,
किससे सीखा है हर दिल में उतर जाना।

Jo Nasha Hai Teri Aankhon Mein Wo Baat Kahan Is Pyaale Mein,
Bas Tu Mil Jaye To Fir Kya Rakha Hai Zamane Mein.
जो नशा है तेरी आँखों में वो बात कहां इस प्याले में,
बस तू मिल जाए तो फिर क्या रखा है ज़माने में।

Uske Har Sawal Ka Jawaab Meri Aankhon Mein Milega,
Wo Meri Jubaan Khulne Ka Intazaar Karte Rahe.
उसके हर सवाल का जवाब मेरी आँखों में मिलेगा,
वो मेरी जुबान खुलने का इंतज़ार करते रहे।

Mujhe Darr Hai Tumhari Nasheeli Aankhon Ka,
Kahin Loot Na Len Kisi Din Kuchh Pila Ke Mujhko.
मुझे डर है तुम्हारी नशीली आँखों का,
कहीं लूट न लें किसी दिन कुछ पिला के मुझको।

Subah To Ho Gayi Par Ye Abhi Aankh Bhaari Hai,
Khwaab Koi Nashe Sa Ab Tak Aankhon Mein Hai.
सुबह तो हो गई पर ये अभी आँख भारी है,
ख्बाव कोई नशे सा अब तक आँखों में है।

Aankhon Mein Basane Ke Baad

Meri Aankhon Mein Koi Aur Basta Nahin,
Aapko In Aankhon Mein Basane Ke Baad,
Mera Dil Ab Kahi Aur Lagta Nahin,
Ik Aapse Dil Ko Lagane Ke Baad.
मेरी आँखों में कोई और बसता नहीं,
आपको इन आँखों में बसाने के बाद,
मेरा दिल अब कही और लगता नहीं,
इक आपसे दिल को लगाने के बाद।

Humein Aapki Aankhon Mein Panaah Mil Jaye,
Dil Kya Jaan Bhi Aapke Naam Ho Jaye,
Duniya Bhale Hi Humein Deewana Karaar De,
Meri Zindagi Aapki Chahat Mein Fanaa Ho Jaye.
हमें आपकी आँखों में पनाह मिल जाये,
दिल क्या जान भी आपके नाम हो जाये,
दुनिया भले ही हमें दीवाना करार दे,
मेरी जिंदगी आपकी चाहत में फना हो जाये।

Tumhein Dekhne Ke Liye Tarsati Hain Aankhein,
Tumhare Bina Bahut Barasti Hain Aankhein,
Mere Liye Na Sahi Inke Liye Aa Jaao,
Kyunki Tumhein Be-Intaha Chahati Hain Aankhein.
तुम्हें देखने के लिए तरसती हैं आँखें,
तुम्हारे बिना बहुत बरसती हैं आँखें,
मेरे लिए ना सही इनके लिए आ जाओ,
क्योंकि तुम्हें बेइन्तहा चाहती हैं आँखें।

Aansuon ki Nami Hai

Aaj Kisi Ki Mohabbat Ki Kami Hai,
Tabhi Meri Aankhon Mein Aansuon ki Nami Hai,
Koi To Hai Jo Yaad Nahin Karta Hai Hamen,
Par Mere Dil Mein Uski Jagah Wahi Hai.
आज किसी की मोहब्बत की कमी है,
तभी मेरी आँखों में आंसुओं की नमी है,
कोई तो है जो याद नहीं करता है हमें,
पर मेरे दिल में उसकी जगह वही है।

[ Continue Reading → ]

Shayari Categories