Shayari in Hindi

Kiske Ishaare Par Zindagi

Kiske Ishaare Par Chalti Hai Tu Ai Zindagi,
Waqt Si Raftaar Bhi Nahin Zamane Se Tujhe Pyar Bhi Nahin.
किसके इशारे पर चलती है तू ऐ जिंदगी,
वक़्त सी रफ़्तार भी नहीं, ज़माने से तुझे प्यार भी नहीं।

Waqt Ki Kitaab Ke Kuchh Panne Ulatna Chahta Hoon,
Aaj Fir Wahi Beete Pal Jeena Chahta Hoon.
वक़्त की किताब के कुछ पन्ने उलटना चाहता हूँ,
आज फिर वही बीते पल जीना चाहता हूँ।

[ Continue Reading → ]

Waqt Se Takraane Ka Hausla

Inspirational Shayari for Success Waqt Se Takraane Ka Hausla

Waqt Ki Raftaar Ka Andaaza To Nahin Mujhe Magar,
Waqt Ke Saath Takraane Ka Hausla Rakhta Hoon Sada.
वक़्त की रफ़्तार का अंदाज़ा तो नहीं मुझे मगर,
वक़्त के साथ टकराने का हौसला रखता हूँ सदा।

Jab Dil Pe Chha Rahein Hon Saaye Malaal Ke,
Us Waqt Apne Dil Ki Taraf Muskura Ke Dekh.
जब दिल पे छा रहें हों साये मलाल के,
उस वक़्त अपने दिल की तरफ़ मुस्कुरा के देख।

Ummeedon Ka Waqt Hi Ek Sahaara Hai,
Hausla Hai Agar To Har Mauj Mein Kinaara Hai.
उम्मीदों का वक़्त ही एक सहारा है,
हौसला है अगर तो हर मौज में किनारा है।

Zikr Anjaam-e-Mohabbat Ka

Zikr Hua Anjaam-e-Mohabbat Ka Kabhi,
Waqt Ne Pesh Kiya Hunko Misaalon Ki Tarah.
जिक्र हुआ अंजाम-ए-मोहब्बत का कभी,
वक़्त ने पेश किया हमको मिसालों की तरह।

Abhi Kuchh Pal Baaki Hai Zindagi Ke,
Laut Aao Tum Kahein Se Mohabbat Saans Leti Hai.
अभी कुछ पल बाकी है जिंदगी के,
लौट आओ तुम कहीं से मोहब्बत सांस लेती है।

[ Continue Reading → ]

Nayi Subah Naya Savera

Is Nayi Subah Ka Yeh Naya Savera,
Suraj Ki Kiranon Sang Hawaon Ka Basera,
Aasmaan Mein Hai Khila Suraj Ka Chehra,
Mubaark Ho Apko Haseen Yeh Savera.
Suprabhaat.
इस नयी सुबह का यह नया सवेरा,
सूरज की किरणों संग हवाओं का बसेरा,
आसमान में है खिला सूरज का चेहरा,
मुबारक हो आपको हसीन यह सवेरा।
सुप्रभात।

Goodmorning Shayari - Nayi Subah Ka Yeh Naya Savera

[ Continue Reading → ]

Tumhein Milte To Achchha Tha

Jahan Phoolon Ko Khilna Tha,
Wahin Khilte To Achchha Tha,
Tumhin Ko Humne Chaaha Tha,
Tumhein Milte To Achchha Tha.
जहाँ फूलों को खिलना था
वहीं खिलते तो अच्छा था,
तुम्हीं को हमने चाहा था
तुम्हीं मिलते तो अच्छा था।

[ Continue Reading → ]

Shayari Categories