Main Ise Shohrat Kahoon Ya Apni Ruswaai Kahoon,
Mujhse Pehle Uss Gali Mein Mere Afsaane Gaye.
मैं इसे शोहरत कहूँ या अपनी रुसवाई कहूँ,
मुझसे पहले उस गली में मेरे अफ़साने गए।
Ye Bhi Achha Hua Ki Use Paa Na Sake Hum,
Wo Humare Ho Ke Bichhadte To Qayamat Hoti.
ये भी अच्छा हुआ कि उसे पा न सके हम,
वो हमारे हो के बिछड़ते तो कयामत होती।
Iss Khayaal Se Hi Har Shaam Jald Neend Aayi,
Mujh Se Bichhade Huye Log Sheher-e-Khwaab Mein Hain.
इस ख्याल से ही हर शाम जल्द नींद आई,
मुझसे बिछड़े हुए लोग शहर-ए-ख्वाब में हैं।