Sharab Gam Kam Kar Deti Hai
Jhooth Kahati Hai Duniya, Sharab Gam Kam Kar Deti Hai,
Maine Dekha Hai Tanha Khud Ko Nashe Mein Rote Hue.
झूठ कहती है दुनिया, शराब गम कम कर देती है,
मैंने देखा है तन्हा खुद को नशे में रोते हुए।
Ham To Is Kadar Badnaam Huye Is Jamaane Mein,
Ki Pani Bhi Peete Hain To Log Sharab Kahate Hain.
हम तो इस कदर बदनाम हुए इस जमाने में,
कि पानी भी पीते हैं तो लोग शराब कहते हैं।
Tum Kareeb Se Na Gujra Karo Jab Main Sharab Peeta Hoon,
Kambakht Ye Doguna Nasha Mujhse Sambhala Nahin Jaata.
तुम करीब से न गुजरा करो जब मैं शराब पीता हूँ,
कमबख्त ये दोगुना नशा मुझसे संभाला नहीं जाता।
Yun To Aisi Koi Khaas Dosti Nahin Meri Sharab Se,
Zindagi Ki Raah Mein Tanha Mili To Hamsafar Ban Gai.
यूँ तो ऐसी कोई ख़ास दोस्ती नहीं मेरी शराब से,
ज़िन्दगी की राह में तन्हा मिली तो हमसफ़र बन गई।
Sharab Ki Botal Haath Mein Daba Rakhi Hai,
Tujhe Bhool Jaane Ki Tarkeeb Soch Rakhi Hai.
शराब की बोतल हाथ में दबा रखी है,
तुझे भूल जाने की तरकीब सोच रखी है।
Na Dard Kam Hua, Na Sharab Sahara Hui,
Na Usne Palat Kar Dekha, Na Mohabbat Dobara Hui.
न दर्द कम हुआ, न शराब सहारा हुई,
न उसने पलट कर देखा, न मोहब्बत दोबारा हुई।