Ab Aansuon Ko Aankhon Mein Sajana Hoga,
Chirag Bujh Gaye Humein Khud Ko Jalana Hoga,
Na Samajhna Ke Tumse Bichhad Ke Khush Hain Hum,
Humein Logon Ki Khatir Muskurana Hoga.
अब आँसुओं को आँखों में सजाना होगा,
चिराग बुझ गए हमें खुद को जलाना होगा,
न समझना कि तुमसे बिछड़ के खुश हैं हम,
हमें अब लोगों की खातिर मुस्कुराना होगा।
Haan Kabhi Khwaab-e-Ishq Dekha Tha,
Ab Tak Aankhon Se Lahu Tapakta Hai.
हाँ कभी ख़्वाब-ए-इश्क़ देखा था,
अब तक आँखों से लहू टपकता है।
Koi Shiqwa Na Gham Na Koi Yaad,
Baithhe-Baithhe Bas Aankh Bhar Aayi.
कोई शिकवा न ग़म न कोई याद,
बैठे बैठे बस आँख भर आई।
Aaj Kisi Ki Mohabbat Ki Kami Hai,
Tabhi Meri Aankhon Mein Aansuon ki Nami Hai,
Koi To Hai Jo Yaad Nahin Karta Hai Hamen,
Par Mere Dil Mein Uski Jagah Wahi Hai.
आज किसी की मोहब्बत की कमी है,
तभी मेरी आँखों में आंसुओं की नमी है,
कोई तो है जो याद नहीं करता है हमें,
पर मेरे दिल में उसकी जगह वही है।
Muddaton Baad Us Ajnabee Se Mulaqat Hui,
Nazron Hi Nazron Mein Chahat Ki Har Baat Hui,
Mudakar Dekha Usne Chahat Bhari Nigahon Se,
Meri Bhi Aankhon Se Ashkon Ki Barsat Hui.
मुद्दतों बाद उस अजनबी से मुलाक़ात हुई,
नजरों ही नज़रों में चाहत की हर बात हुई,
मुडकर देखा उसने चाहत भरी निगाहों से,
मेरी भी आँखों से अश्कों की बरसात हुई।
Aansoo Bhi Meri Aankh Ke Ab Sukh Gaye,
Tune Mujhse Ab Rone Ka Hak Bhi Chheen Liya.
आंसू भी मेरी आँख के अब सूख गये,
तूने मुझसे अब रोने का हक भी छीन लिया।
Ab Teri Aankhon Mein Aansuon Ki Nami Kyon Hain,
Jab Chhod Diya Tha To Bhula Bhi Diya Hota.
अब तेरी आँखों में आंसुओं की नमी क्यों हैं,
जब छोड़ दिया था तो भुला भी दिया होता।