Waqt Ke Bhi Ajeeb Kisse Hain,
Kisi Ka KatTa Nahi Aur Kisi Ke Paas Hota Nahi.
वक्त के भी अजीब किस्से है,
किसी का कटता नहीं और किसी के पास होता नहीं।
Kuchh Yoon Badal Rahe Hain Hum Waqt Ke Saath,
Ki Aayina Bhi Chaunk Jaate Hain Hum Ko Dekhkar.
कुछ यूं बदल रहे हैं हम वक्त के साथ,
कि आईने भी चौंक जाते हैं हमको देखकर।
Waqt Ke Panje Se Bachkar Koyi Kahan Gaya Hai,
Mitti Se Aaj Poochhiye Sikandar Kahaan Hai?
वक्त के पंजे से बचकर कोई कहा गया है,
मिट्टी से आज पूछिये सिकंदर कहाँ है?
Waqt Ne Zakhm Bhar Diye, Main Bhi Bahut Kuchh Bhool Chuka,
Kitaabon Pe Dhool Jamne Se Kahaani Kahaan Badalti Hai?
वक्त ने ज़ख्म भर दिए, मैं भी बहुत कुछ भूल चुका,
किताबों पे धूल जमने से कहानी कहाँ बदलती है?