Dil Ka Dard Chupakar

Kabhi Tum Poochh Lena, Kabhi Hum Bhi Zikr Kar Lenge,
Chhupakar Dil Ke Dard Ko Ek Doosre Ki Fikr Kar Lenge.
कभी तुम पूछ लेना, कभी हम भी ज़िक्र कर लेगें,
छुपाकर दिल के दर्द को एक दूसरे की फ़िक्र कर लेंगे।

Wo Jaan Gayi Thi, Humein Dard Mein Muskurane Ki Aadat Hai,
Isliye Roz Naya Zakhm Deti Thi Meri Khushi Ke Liye.
वो जान गई थी, हमें दर्द में मुस्कराने की आदत है,
इसलिए रोज नया ज़ख्म देती थी मेरी ख़ुशी के लिए।

Aaj Usne Humein Ek Aur Dard Diya To Humein Yaad Aaya,
Ki Duaaon Mein Humne Hi To Uske Saare Dard Maange The.
आज उसने हमें एक और दर्द दिया तो हमें याद आया,
कि दुआओं में हमने ही तो उसके सारे दर्द माँगे थे।

Yaad Rahega Hamesha Yeh Dard-e-Hayaat Humko Bhi,
Ki Kya Khoob Tarse The Zindagi Mein Ek Shakhs Ki Khatir.
याद रहेगा हमेशा यह दर्दे-हयात हमको भी,
कि क्या खूब तरसे थे ज़िन्दगी में एक शख्स की खातिर।

Yoon To Ai Zindagi Tere Safar Se Shikayatein Bahut Thi,
Magar Dard Jab Darz Karaane Pahunche To Kataarein Bahut Thi.
यूँ तो ऐ ज़िन्दगी तेरे सफर से शिक़ायतें बहुत थीं,
मगर दर्द जब दर्ज कराने पहुँचे तो कतारें बहुत थीं ।

Related Shayari

Shayari Categories