Dard Kisi Ko Kehte Nahi

Hum Apna Dard Kisi Ko Kehte Nahi,
Wo Sochte Hain Ki Hum Tanhai Sehte Nahi,
Aankhon Mein Aansoo Nikle Bhi To Kaise?
Kyunki Sookhe Huye Dariya Kabhi Behte Nahi.
हम अपना दर्द किसी को कहते नहीं,
वो सोचते हैं कि हम तन्हाई सहते नहीं,
आँखों से आँसू निकले भी तो कैसे?
क्योंकि सूखे हुए दरिया कभी बहते नहीं।

Bhula Kar Humein Wo Kya Khush Reh Payenge?
Saath Mein Nahi Humare Jaane Ke Baad Muskurayenge,
Dua Hai Khuda Se Ki Unhein Dard Na Dena,
Hum To Seh Gaye Par Wo Toot Jayenge.
भुला कर हमें वो क्या खुश रह पाएंगे?
साथ में नहीं हमारे जाने के बाद मुस्कुराएंगे,
दुआ है खुदा से कि उन्हें दर्द न देना,
हम तो सह गए पर वो टूट जाएंगे।

Likhoon Kuchh Aaj Yeh Waqt Ka Takaja Hai,
Mere Dil Ka Dard Abhi Taza-Taza Hai,
Gir Padte Hain Mere Aansoo Mere Hi Kagaz Par,
Lagta Hai Kalam Mein Dard Mujhse Jyada Hai.
लिखूं कुछ आज यह वक़्त का तकाजा है,
मेरे दिल का दर्द अभी ताजा-ताजा है,
गिर पड़ते हैं मेरे आँसू मेरे ही कागज पर,
लगता है कलम में दर्द मुझसे ज्यादा है।

Nikalta Hai Koi Dil Mein Bas Jaane Ke Baad,
Dard Kitna Hota Hai Bichhad Jaane Ke Baad,
Jo Paas Hota Hai Uski Kadar Nahi Hoti,
Kami Mehsoos Hoti Hai Door Jaane Ke Baad.
निकलता है कोई दिल में बस जाने के बाद,
दर्द कितना होता है बिछड़ जाने के बाद,
जो पास होता है उसकी कदर नहीं होती,
कमी महसूस होती है दूर जाने के बाद।

Related Shayari

Shayari Categories