Aansoo Meri Aankh Ke

Aansoo Bhi Meri Aankh Ke Ab Sukh Gaye,
Tune Mujhse Ab Rone Ka Hak Bhi Chheen Liya.
आंसू भी मेरी आँख के अब सूख गये,
तूने मुझसे अब रोने का हक भी छीन लिया।

Ab Teri Aankhon Mein Aansuon Ki Nami Kyon Hain,
Jab Chhod Diya Tha To Bhula Bhi Diya Hota.
अब तेरी आँखों में आंसुओं की नमी क्यों हैं,
जब छोड़ दिया था तो भुला भी दिया होता।

Wo Yaad Karega Jab Meri Maasoom Mohabbat Ko,
Royega Bahut Fir Wo Mujhe Yaad Karke.
वो याद करेगा जब मेरी मासूम मोहब्बत को,
रोयेगा बहुत फिर वो मुझे याद करके।

Agar Sach Mein Usne Mere Aansuon Ki Kadar Ki Hoti,
To Baar Baar Wo Mujhe Rulaane Ki Vajah Na Banta.
अगर सच में उसने मेरे आंसुओं की कदर की होती,
तो बार बार वो मुझे रुलाने की वजह ना बनता।

Kaash... Wo Samajh Pata Meri Khamosh Siskiyon Ko,
Aawaaz Karke Rona To Mujhe Aaj Bhi Nahin Aata.
काश... वो समझ पाता मेरी खामोश सिसकियों को,
आवाज़ करके रोना तो मुझे आज भी नहीं आता।

Khwaab Me Bhi Aansoo Nikal Padte Hain Unko Bichhadta Dekhkar,
Aankh Khulte Hi Ehasaas Hota Ishk Sote Hue Bhi Rulata Hai.
ख्वाब मे भी आंसू निकल पड़ते हैं उनको बिछड़ता देखकर,
आँख खुलते ही एहसास होता इश्क सोते हुए भी रुलाता है।

Related Shayari

Shayari Categories