Aansoo Bankar Behte Hain
Aansoo Bankar Behte Hain Aankhon Se Mere,
Behti Aankhen Karti Hain Deedar Unka,
Mana Zindagi Me Unhen Pa Nahi Sakte,
Par Mohabbat Karte Hain Beintha Unse.
आँसू बनकर बहते हैं आँखों से मेरे,
बहती आँखें करती हैं दीदार उनका
माना ज़िंदगी मे उन्हें पा नही सकते,
पर मोहब्बत करते हैं बेइंतहा उनसे।
Ashqon Mein Mere Sare Armaan Beh Gaye,
Jinse Ummeed Thi Wo Bewafa Ho Gaye,
Humein Jin Chiraago Se Ujaale Ki Chaah,
Wo Chirag Jaane Kahan Andhero Mein Kho Gaye.
अश्कों में मेरे सारे अरमान बह गये,
जिनसे उम्मीद थी वो बेवफा हो गये,
हमें जिन चिरागो से उजाले की चाह,
वो चिराग जाने कहाँ अंधेरो में खो गये।
Unki Aankhon Mein Koi Gam Hai Shayad,
Ya Mujhe Hi Koi Vaham Hua Hai Shayad,
Maine Puchha Mujhse Mohabbat Nahi Hai Kya,
Ponchh Kar Aansoo Usne Bhi Kaha Shayad.
उनकी आँखों में कोई गम है शायद,
या मुझे ही कोई वहम हुआ है शायद,
मैंने पूछा मुझसे मोहब्बत नही है क्या,
पोंछ कर आँसू उसने भी कहा शायद।